Sad bewafa poetry in urdu | Bewafa shayari
Zindagi Itni Mushqil Na Hoti,Agar Tumse Mohabbat Na Ki Hoti,Hum Iss Tarah Se Barbaad Na Hote,Agar Tu Bewafa Na Hoti.
Zindagi Ka Har Zakham Uski Meharbani Hai;Meri Zindagi To Ek Adhuri Kahani Hai;Chahta To Mita Dete Har Dard Ko;Magar Yeh Dard Hi To Uski Aakhri Nishani Hai!
Main Nhi Janta Pyar Main Bewafai Q Milti Hai Par,Itna Zaror Janta Hon, Jub Dil Bhar Jye To Log chor dete hain
Aye Khuda log banaye the pathar ke agar,Mere ehsas ko sheeshesa sa na banaya hota..
Dhoka Deti Hain Aksar Chamak Sharif Chehron Ki;Kyunki Hr Kaanch Kaa Tukda Heera Nhi Hotaa
Teri Mohabbat Bhi Kiraye Ke Ghar Ki Tarah Thi,Kitna Bhi Sajaya, Par Meri Na Huyi
Faaslon ka ehsaas tb hua..Jab Maine kaha..”mai theek hu..”Aur.. Usne “maan liya..”
Tu agar khawab tha mera to batakyu meri neend se bahaar nikla
Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi HainZindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi HaiUs Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki WajahWoh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai
Pal Pal Uska Saath Nibhate HumEk Ishare Pe Dunya Chhor Jate HumSamandar K Beech Me Pohanch Kar Fareib Kya UsneWo Kehte To Kinaare Pe Hi Doob Jate Hum
Zindagi toh hum bhi jee rahe the,Taqdeer humari kharab nikli,Tajmahal hum bhi bana sakte the,Mumtaz humari bewafa nikli.
Raat Ki Tanhaion Mein Bechain Hain Hum,Mehfil Jami Hai Phir Bhi Akele Hain Hum,Aap Humse Pyaar Karein Ya Na Karein,Par Aapke Bina Bilkul Adhoore Hain Hum
Na Jane Kyun Khud Ko Akela Sa Paya Hai,Har Ek Rishte Me Khud Ko Ganwaya Hai,Shayad Koyi Toh Kami Hai Mere Wajood Mein,Tabhi Har Kisi Ne Humein Yun Hi Thukraya Hai.
Wo Ja Chuka Hai,Magar Judai Se Qabal KaIk Narm LamhaThehar Gaya HaiMeri Hatheli Ki Pusht ParZindagi MeinPehli Ka Chand Ban Kar
Ab Tu Bas Jaan Hi Deni Ke Bari Hai MohsinMain Kahan Tak Sabat Karon Ke Wafa Hai Muj Main….
Hum kisi Shakhs se tab tak ladte hain,Jab tak usse pyar ki ummeed hoti hai..Jis din wo ummeed khatam ho jati hai,Us din Ladna bhi khatam ho jata hai..
Hara hua sa lagta hai Wajood mera,Har ek ne loota hai Dil ka wastaa dekar..
Zindagi Berang Benoor si kyon hai, Zindagi ki har Khushi humse Door kyon hai..?Waqt beet jaega yu hi Intzaar mein lagta hai, Akhir Khuda khud mein itna Magroor kyon hai.. ??
Usko panaa meri Zindagi ka wo Khwaab hai,jiski Manzil hi nahi rastaa bhi Khraab hai.Hansi se mere Dard ka Andaaza mat lgana,is Dil ka har Pannaa Dard ki Kitaab hai...
Tanha sa ho gya hai, Mera kamra aajkal.Ek Pankhaa bola karta tha, Par ab Sardiyan aa gai hain..
Tum hi ho ek mere, Dil ko bas yhi Kraar rha..Laut Aaoge ek din Tum,AKHRI Saans tak bas Tera hi Intzaar rha..
Naa Paa Saku, Naa Bhula saku..Tu meri Majburi sa hai, Tere bina Jee rhe hain..Aur Jee bhi lenge, Fir bhi tu Jaruri sa hai..
Bas itna sa kaha thaKi barson ke piyasa hain hum.Usne hontho pe honthRakhkar…khamosh kar diya
Ek tum hi hoJise dekh kar dil koSukoon milta hai
Ye surkh lab ye RukhsarOr ye madhosh nazrain.Itne kam fasle pe to maikhaneBhi nahi hote
Naseeb mera Q mujse khafa ho jata h, Apna jisko B mano bewafa ho jata h, Q na ho shikayat meri nazro ko raat se, Sapna pura hota nhi or sawera ho jata h.
kaha koi aisa mila jis par dil luta dete …. har ek ne dhoka diya kis-kis ko bhula dete,, hum apna gum dil me dabaye phirte hai,,, karte hai baya to mehfil ko rula dete hai
Udas na baitho fiza tang karegi, Gujre hue lamho ki sazaa tang karegi, Kisi ko na lao dil ke itna karib, Q ki uske jane ke baad uski har adaa tang karegi
Har ek manzar pr udasi chhayi hai, Chand ki roshni me v kami aayi hai, Akale achhe the hm apne aashiane me, Jane Q toot kr aaj fir apki yaad aayi hai.
Hum yaad tujhi ko karte he Ek ada pe marte he Ek hi baat se darte he ki Aap CLOSE-UP kyo nahi karte he
Zindagi Ki Har Ek Udaan Baaki Hai Har Mod Pr Ek Imtihan Baki Hai Abhi To Sirf Aap Hi Pareshan Hai Mujhse Abhi To Pura Hindustan Baaki Hai
Kamar jitni bhi patli ho maza utna nasheela hai. chalega jo bhi ho aankhon ka rang kala ya neela hai, ishq k naam pe kerte sabhi ab RASLEELA hao.. main karun to saala character dheelaa hai
SMART Ho Aap Toh Bure Hm B Nhi INTELLIGENT Ho Ap Toh Buddhu Hm B Nhi Dosti Kr K Kehte Ho Busy H Hm Yaad Karna Hmse Sikho Free Toh Hm B Nhi
Gulshaan me Bhanwron ka fera ho gaya, Puraab me Suraj ka Dera ho gaya, Muskaan ke saath aankhe khol Pyaare, Ek baar fir se Pyaara sa Savera ho gaya
Aap na hote to hum kho gaye hote, Hum aapni Zindagi se Ruswa ho gaye hote, Ye to aap ko Good Morning kehnay k liye Uthey hai, Warna Hum to abhi bhi So rahe hote
Fulo Ko Khusbu Ki Or Se, Sagar Ko Lahro Ki Or Se, Suraj Ko Kirno Ki Or Se, Chand Ko Chandni Ki Or Se, Aapko Hamari Or Se
Zaroori nahi ki jeene ka koyi sahara ho, Zaroori nhi ki jiske hum ho woh bhi humara ho, Kuchh kashtiyan doob jaya karti hain, Zaroori nhi ke har kashti ke naseeb me kinara ho
Sirf najdikiyo se mohabbat hua nahi karti, Fasle jo dilon me ho to fir chahat hua nhi karti Agar naraz ho khafa ho to shikayat karo hamse Khamosh rahne se dilo ki duriya mita nhi karti
Kaash koyi hum par bhi itna pyaar jatati, Piche se aakar wo hamari ankho ko chupati, Hum puchhte ki kaun ho tum?? Aur wo has kar khudko hamari jaan batati
Pyar Me Bewafai Mile To Gum Na Karna Apni Aankhe Kisi Ke Liye Num Na Karna Wo Chahe Laakh Nafrat Kare Tumse Par Tum Apna Pyar Kabhi Uske Liye Kam Na Karna
Koi sahara nahi dua k siwa, Koi sunta nahi khuda k siwa.. Main ne bhi zindagi ko qareeb se dekha hai, Mushkilon mein koi saath deta nahi khuda k siwa
sanso ka pinjra kisi din tut jaega, fir ye dost raste me chhuut jaega, abhi waqt hai baat kr liya karo yaro, na jane kab jindgi ka dhaga tut jaega
Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai
Raat hui wo sone chale, Mithe sapno me khone chale, Ae chand unhe mithi-mithi lori suna dena, Jab wo reply na de to palang se gira dena.
Neend ka sath ho, Sapno ki barat ho, Chand sitaare bhi sath ho, Or kuchh rahe na rahe, Par hamari yaade aapke sath ho
Apni bebasi par aaj rona sa aayaDoosron ko nahi maine apno ko azmaayaHar dost ki tanhaayi door kiLekin khud ko har morh par tanha hi paya
Zindagi Mein Log Dukh Ke Siwa De Bhi Kya Sakhte Hein,Marne Ke Baad Do Gazz Kafan Dete Hein Woh Bhi Ro Ro Ke
Kismat par aitbar kisko hai,Mil jaye khushi inkaar kisko hai,Kuch majburian hain mere dost,Warna judai se pyaar kisko hai.
Dil ke dard ko dil todne waala kya jaane,pyaar ke rivajo ko ye jmaana kya jaane,hoti hai kitni takleef kabar mein,upper se phool chadane waala kya jaane
Chiraagon Ki Roshni Jab Zara HiliMujhe Ghumaan ThaLaga Tumhari Ek Aahat Si MiliJaake Dekha Jab Dar PeTo Phir Wahi Zaalim Hawa Mili
Meri Chahat Ko Mere Halaat Ke Tarazu Mein Kabhi Mat Tolna,Maine Woh Zakham Bhi Khaye Hain, Jo Meri Qismat Main Nahi The!
Jagmagaate Shehar Ki Raanayion Mein Kya Naa Tha;Dhundne Nikla Tha Jisko, Bas Vahi Chehra Na Tha!Hum Vahi, Tum Bhi, Vahi, Mausam Vahi, Manzar Vahi;Faansle Badh Jaayenge Itne, Kabhi Socha Na Tha
Dua Maangi Thi Ik Aashiyaane Ki;Aandhiyaan Chal Padi Zamaane Ki;Mere Gham Ko Koi Samajh Na Saka;Kyonki Mujhe Aadat Thi Muskuraane Ki
Dil wale to aur bhi honge tumhare shahar mein magar,Hamara andaaz-e-wafa tumhe hamesha yaad ayega
Mujhe is baat ka gam nahi ki tum bewafa nikli…Afsoos to iss baat ka hyai kiWo Log ‘sacche’ nikle jinse main tumhare liye lada karta tha…..
Bhula denge thume bhi, zara sabar to kijiye,thumari tarah bewafa hone me thoda waqt to lagega.
Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho TumDosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur Jate Ho TumJanty Ho K Lagta Hia Dar Tanhaiyo sePhr Be Bar Bar Tanha Chor jate ho Tum
Tum ne uss Waqt Bewafaai ki,Yakeen Jab Aakhri makaam par tha
Geele Kagaz Ki Tarah Hain Zindagi ApniKoi Jalata Bhi Nahin Koi Bahata Bhi NahinIs Qadar Hain Akale Rahaon Mein Dil KiKoi Bulata Bhi Nahi Koi Batlata Bhi Nahin.
Yun Dil Se Dil Ko Juda Na Kijiyega…….Zara Soch Samaj Kar Faisla Kijiyega…….Agar Jee Sakte Hai Aap Mere Bina………..To Beshak Meri Maut Ki Dua Kijiyega.
Ab Jo Ik Hasrat-E-Jawani Hai;Umr-E-Rafta Ki Ye Nishani Hai;Khak Thi Maujzan Jahan Mein, Aur;Ham Ko Dhoka Ye Tha Ke Pani Hai!
Ya Toh Deewaana Hanse, Ya Tu Jise Taufeeq De;Warna Iss Duniya Mein Kya Hai Muskaraane Ke Liye
Khamosh Chehre Par Hazaaron Pehre Hote Hai;Hasti Aankhon Mein Bhi Zakham Gehre Hote Hain;Jinse Aksar Rooth Jaate Hai Hum;Asal Mein Unse Hi Rishte Gehre Hote Hain!
Ik Tabasum Honthon Par Raksa Hai;Koshish Hai Zamaane Se Gam Chhupaane Ki;Aur Mere Ahbaab Samajte Hai Ki;Mujhe Aadat Hai Muskuaarane Ki!
Mere Dil Ka Woh Har Ek Dard Mitaane Vaala;Aaj Khud Rooth Gayaa Hai Mujhko Manaane Vaala;Koi Dekhe Na Humein Dekh Rahaa Hai Maalik;Sabke Dil Mein Hai Woh Maujood Zamaane Wala!
Jab Bhi Unki Gali Se Guzarta Hoon;Meri Aankhein Ek Dastak De Deti Hai;Dukh Ye Nahi, Wo Darwaja Band Kar Dete Hai;Khusi Ye Hai, Wo Mujhe Ab Bhi Pehchaan Lete Hai!
Roz dhalti huyi shaam se dar lagta hain,Ab mujhe ishq ke anjaam se dar lagta hJab se tumne mujhe dhokha diya,Tabse mohabbat k nam se b dar lagta hai.
Khushiyaan ek kahani ban k rah gayi,milte milte yeh dooriyaan badti gayi,Na jane kahaan gayi woh khilti huyi mausam,dil mein ek andhera si cha gayi.
Teri duniaa se jaane ke baad mai tumhe,Har ek taare main nazar aaya karunga.Tum har pal koi duaa maang lena,Or main har baar toot jaya karunga.
Jagmagaate Shehar Ki Raanaaiyon Mein Kya Na Tha;Dhoondne Niklaa Tha Jisko, Bas Vahi Chehra Na Tha;Hum Vahi, Tum Bhi Vahi, Mausam Vahi, Manzar Vahi;Faasle Badh Jaayenge Itne Kabhi Socha Na Tha!
Na Main Pass Unko Bulaa Saka;Na Main Dil Ki Baat Suna Saka;Woh Hansi Hansi Main Hi Chal Deeya;Ke Main Haath Tak Na Hila Saka!
Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya;Khali Hi Sahi Hathon Mein Jaam To Aaya;Main Hoon Bewaafa Sabko Bataya Usne;Yun Hi Sahi Uske Labon Pe Mera Naam To Aaya
Koi Naraz Hai Humse Ke Hum Kuch Likhte Nahi;Kahan Se Layein Lafz Jab Wo Milte Nahi;Dard Ki Zuban Hoti To Bata Dete;Woh Zakhm Kaise Bataye Jo Dikhte Nahi
Yun to Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main;Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main;Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri;Phir Aaj Kyu Lagaa Sab Khone Laga Hun Main
Khayal me aata hai jab us ka chehra,To labon pe aksar faryaad aati hai,Hum bhool jate hai us k sare sitam,Jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai…
Kitni raaten beet gai, kitne din beet gaye.Bus beeta nahin to yaadon ka vo pal, wo guzra hua kal,Beeti nahin to aankhon ki nami, aur aapki kami.
Meri Aawaz Usay Sunai nahi deti,Ab to door tak koi Umeed bhi Dikhai nahi deti,Ehsas Usay Aur Sab Logon ka hai,Bus meri hi Tanhai Usay Dikhai nahi deti
Woh aate to hai par samay se nahi,Woh chalte to par man se nahi,Kaun kehta hai kee woh payar nahi karte,Karte to hai par hum sey nahi
Pyar Kisi Se Jo Karoge Ruswai Hi MilegiWafa Kar Lo Chahe Jitni Bewafaai Hi MilegiJitna Marzi Kisi Ko Apna Bana LoJab Ankh Khulegi Tanhai Hi Milegi
Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai HaiKhamoshi Se Ek Caahat Si Hogai HaiNa Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat HaiKyuki Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai
Jaa Chuke Hain Sab Aur Wahi Khamoshi Chaayi HaiPass Hain Har Oar Sannata, Tanhai Muskurai Hai
Na Kisee Kee Aankh Ka Noor Hoon;Na Kisee Key Dil Ka Qaraar Hoon;Jo Kisee Key Kaam Na Aa Sakey;Main Vo Ek Musht-e-Ghubaar Hoon!
Kabhi Ro Ke Muskuraye, Kabhi Muskura Ke Roye;Jab Bhi Teri Yaad Aayi, Tujhe Bhula Ke Roye;Ek Tera Hi To Naam Tha Jise Hazar Bar Likha;Jitna Likh Ke Khush Hue Uss Se Jayada Mita Ke Roye
Jis kadar tumne bhula rakha hai kabhi sochna,ham sab chhodkar nikle the ek teri mohabbat ke liye!
Unho ne apne labo se lagaya aur chhod diya,Ve bole itna jahar kafi hai teri katra katra maut ke lie!
Dil dukhane ka kaam chhod do,Mere naam koi to paigaam chhod do,Wafa kar nahin sakte to na hi sahi,Lena mehfil mein mera naam chhod do.
Sitam sah kar bhi kitne gam chhipaye humne,Teri khatir har din aansu bahaaye humne,Tu chhod gaya jahan humein raahon mein akela,Tere diye zakhm har ek se chhupaye humne
Talash hai ek ese shaks ki, jo ankhon mein us waqt dard dekhle..Jab Duniya hamse keh rhi ho, kya yar tum hmesha Haste hi rhte ho..
Aaj bhi, Aansu se deti hu Byaaz tera..Teri Mohabbat ka Karz, bahut Bhari pdaa..
Nigahon se bhi Chot lagti hai, jab hmein koi Dekh kar bhi Andekha kar dete hain..
Jab koi Insaan Dard mein hota hai,tab wo sabse zyada Rabb ke kareeb hota hai..
Wo mujhe bhool gya to kya hua.. ???log hatho se Dafan kar ke bhool jate hain ke kabar kaun si hai..
Ehsaan kisi ka wo rakhte nahi, mera bhi chuka diya..jitna khaya tha namak mera, mere Zakhmo pe lgaa diya..
Khuda! kare tu meri yad mein khak chhane,Khuda! kare main tujhe khak mein bhi na milu..
Insan agar pyar mein pade, to gum mein pad hi jata haikyonki pyar kisi ko chahe kitna bhi karo, thoda sa to kam pad hi jata hai
Dard hota hai yeh dekh kar ki, tere pas sabke liye time hai.. bas mujhe chhod kar
Aao milkar aag lga dein is Mahobbat ko, taki fir na tabaah ho kisi masoom ki zindagi
Zindagi mein mazile mil hi jati hain.. bas wo log nahi milte, jinhe is dil ne chahaa
udaa deti hain neendein kuchh Zimmewariyan ghar ki,rat bhar jagne wala har shakhs Ashiq nahi hota
umar zaya kardi logo ne auro ke wajud mein nukas nikalte-nikalte,itna khud ko trasha hota to Farishte ban jate
Khuda jane kon sa Gunah kar baithe hain hum,Tamannao wali umra mein Tajurbe mil rhe hain
Pani dariya mein ho ya ankho mein,Gehrayi aur Raaz dono mein hote hain
lot aati hai har bar meri Ibadat khali,na jane kis unchayi par khuda rehta hai.
Nafrat karte to Ahmiyat badh jati unki,Maine maaf kar ke unko Sharminda kar dia.
Kabhi ro ke muskuraye, kabhi muskurake roye…Jab bhi teri yaad aayi, tujhe bhula kar roye.Ek tera hi naam tha, jise hazaar bar likha…Jitna likh kar khush huye, uss se zyada mitaa kar roye.
Apne bikne ka bahut dukh hai hamein bhi lekin…Muskurate hue milte hain apne khariddar se hum
Farak bahut hai teri or meri taleem mein…Tune ustado se seekha hai or maine halato se.
Kitni khamosh muskuraht thi…Shor bas ankhon ki nami mein tha
Kuchh bhula nahi pata sab yad rehta hai…Mohabbat krne wala isiliye barbad rehta hai.
Bulandiyo ka bade se bada nishaan chhuaUthaya Godh mein maa ne to asmaan chhua.
Lafzo ke bojh se thak jati hai zuban kabhi-kabhiPta nahi khamoshi majburi hai yeh samajhdari
Khyalo ne to zinda rkha haiWarna swalo ne to kbka mar dia hota
Jhankne ki kuch behtreen jagaho mein se,ek jagah apna Gireban bhi hai
Bin mange hi mil jati hai Mohabbat kisi ko,Koi Khali hath reh jata hai hzaro duayo ke bad bhi.
Hamara kaun hai is Shehar mein jo ghar aye,Is khayal se Darwaza band kar aaye
Hum se mohabbat ka dikhawa na kiya kar,Hme malum hai tere wafa ki degree farzi hai
Kahaniyon mein aapki shamil kuch yu rahenge hum,Zikra bas ek baar sahi, Parda girne tak asardar rahenge hum
Bahut zor se hanse the hum badi Muddaton ke bad,Aaj fir kahaa kisi ne, mera Aitbaar Kijiye
Dunia fareb karke Hunarmand ho gayi,Hum Aitbaar karke Gunehgar ho gae
Duniya dhokha de kar aqalmand ho gai,aur hum bhrosa karke Gunehgar ho gae.
Zrurat ek tavayaf ki tarah mujhko nchati hai,main jitna kaam karti hu machine bhi nahi karti.
Mujhe sirf zrurato mein yaad mat kiya karo,galatfehami ho jati hai, kanhi main khuda to nahi.
Waqt hi katna tha to kah dete hmein,hum tumse itni dillagi to na karte
Zra sa bhi nahi pighlta dil tera,itna keemti pathar khaha se kharida hai.
Wahi shakhs mere lashkar se bgaawat kar gya,jeet kar saltanat jiske naam karni thi
Bin tere tu hi bta kaise ghseetu isko,Zindagi lgti hai tutti hui chappal ki tarah.
Wo ek khat jo tumne kabhi likha hi nahi,Main roz baith kar uska jwab likhti hu.
Sakht jaado mein bhi garmi ka mzza ata hai,Main teri yado ko kambal Ki trh odh leta hu.
Parwah karni hai to uski kar jo teri karey,Zindagi me tujhe jo kabhi tanha na karey,Jaan banke utar ja tu uski ruh me,Jo jaan sey b jyada tujh sey wafaa karey.
Pal Bhar Ke Liye Agar Wo Apna Bana LeApni Zindagi Ka Agar Wo Sapna Bana LeFir Bhale Hi Dam Nikal Jaye HamaraBas Ek Rat Ke Liye Wo Mujhe Apna Bna Le
Fursat Kise Hai Zakhmon Ko Sarahane KiNigahen Badal Jaati Hain Apne Beganon KiTum Bhi Chhodkar Chale Gaye HamenAb Tamanna Na Rahi Kisi Se Dil Lagane Ki
Ab Ye Guman Na Raha Ki Aaina Hai Dil MeraToot Kar Patthar Pe Hi Jab Girna Mujhe Pada
Neend aayi na raat bhar ɱujh koҜhwaab baithe rahe qataroo’ ɱe
Log Talashte Hain Ҝi Ҝoi… FiҜarɱand HoVarna kaun Theek hota Hai Yun Haal Poochhne Se.
Aaj Phir Se Hawaon Ne Rukh Badla HaiAaj Phir Se Fizaon Me Rang Dhala HaiMere Dil Ko Hamesha Ho Raha Hai EhsaasShayad Kisi Se Ikrar Hone Wala Hai.
Aakhein Kholu Toh Chehra Tumhara HoBand Karu Toh Sapna Tumhara Ho,Maar Bhi Jau Toh Koyi Gam Nahi,Agar Kafan Ke Badle Achal Tumhara Ho.
Na Jaane Wo Kaun Tera Habeeb HogaTere Hatho Mein Jiska Naseeb HogaKoi Tumhe Chahe Ye Koi Badi Baat NahiJisko Tum Chaho Wo Khush Naseeb Hoga…
Es Dil Ka Kaha Mano Ek Kaam Kar Do..Ek Be-Naam Si Mohabbat Mere Naam KrdoMeri Zaat Par Faqat Itna Ehsaan Kar Do..Kisi Din Subah Ko Milo,Or Shaam Kar Do..!!
Wo Iss Tarah Se Ishq Apna Jataate Hain,Tod Ker Baago Se Kayi Fool Le Aate Hain,Hum Kehte Nhi Unko Kuch Bhi Jubaan Se,Najaane Kaise Wo Mere Dil Ki Hr Baat Samajh Jaate Hain
Tere Dard ko hi aah ka haq haiJaise tere husn ko nigha ka hak haiMujhe bhi ek Dil Diya Hai khuda neMujh nadan Ko bhi ek gunah ka hak hai
Mujh ko maloom nahi husn ki tareefTeri najron mein haseen woh hai jo tumsa hai
Chand ki chamak bhi fiki lagti HaiTu pariyon Se jyada khubsurat dikhti hai
Badi fursat Se banaya Hai khuda ne tujheBarna surat Teri is kadar na Chand Se milati
Husn ki wadiyo mein khoye hue Hain sabAur kahate Hain Mohabbat karte Hain ham
Bazaar mein Ishq nahin sirf husn bikta haiIshq ibadat Hai Jo Naseeb se milta Hai
Surat ki nahin Sirat ki baat karte HainIshq karne Wale sirf bichhane Se darte Hain
Khubsurat chehre ki baat Na karVah bewafa Hai use yad mat kar
Khushbu a Rahi Hai kahin Se taje gulab kiShayad khidki khuli rah gai hogi unke Makan ki
Aankhon mein Teri koi Karishma jarur haiTu jisko dekh le vah behakta jarur hai
Bahut khubsurat Hai hamara SanamKhuda Aisa chehra banata hai kam
Keyword
Bewafa poetry in Urdu
Dhoka poetry in Urdu
Sad love poetry in Urdu
0 Comments
Please do not spam